bhakto ki man ki ichchhao ko puri karne vale baba khatu shyam ji mandir sikar ( rajasthan ) mein sthit hain. jinhe bhaktagan (भक्तगण) “haare ka sahara baba shyam hamara” kahte hain.
Contents
is lekh mein Ham aapko khatu shyam ji ke chamatkaar tatha unake itihaas ki baare mein poori jaanakaree denge :
- sikar jile ke Khatu ganv mein sthit yah mandir Rajsthan ka famous temple hain.
- khatu shyam ji ko krishn bhagavan ka avatar mana jaata hain.
- kahte hai ki jo bhee bhakt ya vyakti
- bhagvan khatu shyam ji ko man se aastha ke saath yad karte hain
- baba shyam unaki man ki ichchhao ko puri karate hain
- or kasht, dukh dard ko har lete hain aur haare hue insaan ko jeeta dete hain
- isalie inhe haare ka sahara baba shyam hamara kahte hai.
- ham aapako bata de kee bhaktaganon ke anubhav ke anusaar khatu shyaam jee sach mein bahut chamatkaaree hain.
khatu shyam ji kaun the aur inaka naam shyam kyon rakha puri kahani:
Table of Contents
Toggle- baaba khatu shyaam jee pandav putra bheem ke pote the jinaka naam barbareek tha.
- pandav putr bheem ka vivah hidimba se hua tha
- hidimba kee kokh se ghatokha ka janm hua aur ghatokha ka putr barbareek hue.
- barbareek bahut hee sahasi aur veer yoddha (योद्धा ) the.
- pandavo aur kauravo ke beech mahabharat ka yuddh shuru ho gaya tabhee barbareek ne yuddh mein bhag lena chaha.
khatu nam kyon pada aur khatu shyam ji ke mandir ka nirman kaise hua:
- kahte hain kalyug barbareek yaani shyam ji ka sir (सिर )
- Sikar jile ke ek chhote se ganv khatu (खाटू ) mein mila tha.
- sir ka pata tab chala jab us sthan (place) se ek gaay/cow gujar rahi thee
- tabhi achanak gaay ke thano (थनो ) se apne aap doodh nikalne laga.
- is chamatkaar ko dekh kar us ganv ke logo ne
- yahaan ki khudayi ki tab barbarik yani shyam ji ka sir mila.
- Khatu ganv ke raja Roopsingh chauhan ko sapna aaya tha ki
- is sir ke lie ek mandir ka nirmaan kiya jaaye the us mandir mein is
- sir ki sthapana (स्थापना ) kee jae aur pooja ki jaye.
- Raaja ne aisa hee kiya aur khatu shyam ji ke mandir ka nirman karavaya.
- is prakaar barbarik ko shyam ka naam mila aur shyam ji ki
- khatu mein mandir banakar pooja kee jaane lagee isalie inaka naam khatu shyam ji rakha.
khatu shyam ji mandir sikar (वास्तुकला) vastukla
- yah mandir white sangmarmar (संगमरमर ) se nirmit hai
- isaki sundarta ko dekhane ke lie kai payartak (पयर्टक ) aate hain ye yahan ka Sikar tourist place hai.
- is mandir ke pravesh aur nikaas dvar sangmarmar se bane hue hain
- or ek bada praarthana kaksh hain jise Jagmohan ke naam se jana jata hain.
- Khatu shyaam jee mandir ke pas ek pavitra kund hain
- jaha bhakto ki manyta hain ki isame snaan (स्नान) karne se duhkh – dard aur bimariyan theek hoti hain.
khatu shyam ji mandir sikar aarti time :
baba khatu shyam mandir mein 5 baar aarti hoti hain
- Mangal Aarti : yah aarti subah jaldi kee jati hain jab mandir ke dvar khulte hain.
- Shringaar Aarti : alankrt aarti ke saath jab Khatu Shyam ji ka bhavy darshan ( भव्य दर्शन ) kiya jata hai
- tab ye aarti hoti hain.
- Bhog Aarti : bhagvan ko jab bhog lagaya jata hain tab ye din ki tisari aarti hoti hain.
- Sandhya Aarti : yah aarti shaam ko sooryast ke samay ki jati hain.
- Sayana AartI : mandir ke dvar ( द्वार ) band karte samy yah aarti hoti hain.
khatu shyam ji mandir sikar timings :
garmiyon mein (summer) : subah 4 :30 se dophar 12:30 tak aur sham 4 baje se rat 10 baje tak
sardiyon mein ( winter) : subah 5 se dophar 1 baje tak aur shaam 5 baje raat 9 baje tak
is lekh mein hamne baba Khatu Shyam mandir Sikar ki puri jankari aapko di
aap apne parivaar ke saath yahaan ja sakte hain aur
baba shyam ka Aashirvaad lekar apne jeevan ko saphal (सफल ) banaye